meri ghurbat ko pasheman bhi kar sakta tha
merī ġhurbat ko pashemān bhī kar saktā thā
vo to zardār thā ehsān bhī kar saktā thā
itnī āsānī se kaise maiñ use pā letā
ye mire 'ishq kā nuqsān bhī kar saktā thā
jaise-taise nazar-andāz kiyā hai maiñ ne
varna ye vāqi'a hairān bhī kar saktā thā
kis ne sochā thā ki ik shaḳhs thā jo mauj-e-bahār
ek pal meñ mujhe vīrān bhī kar saktā thā
vaqt rahte hī chalo khol liiñ āñkheñ maiñ ne
varna ye ḳhvāb pareshān bhī kar saktā thā
shukr kar maiñ ne faqat nazm kiyā hai tujh ko
maiñ tujhe nazm kā 'unvān bhī kar saktā thā
jab bichhaḌnā hī thā to mil ke bichhaḌnā thā use
vo mirī maut ko āsān bhī kar saktā thā
meri ghurbat ko pasheman bhi kar sakta tha
wo to zardar tha ehsan bhi kar sakta tha
itni aasani se kaise main use pa leta
ye mere 'ishq ka nuqsan bhi kar sakta tha
jaise-taise nazar-andaz kiya hai main ne
warna ye waqi'a hairan bhi kar sakta tha
kis ne socha tha ki ek shaKHs tha jo mauj-e-bahaar
ek pal mein mujhe viran bhi kar sakta tha
waqt rahte hi chalo khol lin aankhen main ne
warna ye KHwab pareshan bhi kar sakta tha
shukr kar main ne faqat nazm kiya hai tujh ko
main tujhe nazm ka 'unwan bhi kar sakta tha
jab bichhaDna hi tha to mil ke bichhaDna tha use
wo meri maut ko aasan bhi kar sakta tha
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 87)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.