meri har baat pe munh pher ke hansta kya hai
merī har baat pe muñh pher ke hañstā kyā hai
maiñ bhī insān huuñ tū ne mujhe samjhā kyā hai
ek merā hī hai ghar shīshe kā so Dartā huuñ
shahr hī shīshe kā ho jaa.e to ḳhatra kyā hai
zor-e-tambīh se mat chhīniye bachchoñ kī chahak
khilkhilā kar jo na hañstā ho vo bachcha kyā hai
baa'd meñ faisla rahbar ke hunar kā hogā
pahle ye baat to vāzeh ho ki honā kyā hai
uub kar shiddat-e-isrār se haamī bhar dī
dekhnā hai mire iqrār se hotā kyā hai
gar mirī tarh tujhe bhī hai yaqīn-e-kāmil
marnā ik baar hai har aan pe martā kyā hai
aapsī baat se hal nikle sabhī chāhte haiñ
'nazr' batlā.e koī sulh kā ḳhāka kyā hai
meri har baat pe munh pher ke hansta kya hai
main bhi insan hun tu ne mujhe samjha kya hai
ek mera hi hai ghar shishe ka so Darta hun
shahr hi shishe ka ho jae to KHatra kya hai
zor-e-tambih se mat chhiniye bachchon ki chahak
khilkhila kar jo na hansta ho wo bachcha kya hai
ba'd mein faisla rahbar ke hunar ka hoga
pahle ye baat to wazeh ho ki hona kya hai
ub kar shiddat-e-israr se hami bhar di
dekhna hai mere iqrar se hota kya hai
gar meri tarh tujhe bhi hai yaqin-e-kaamil
marna ek bar hai har aan pe marta kya hai
aapsi baat se hal nikle sabhi chahte hain
'nazr' batlae koi sulh ka KHaka kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.