meri hasti-e-haal hanste hain
merī hastī-e-hāl hañste haiñ
mere din māh-o-sāl hañste haiñ
pahle har-pal jo log hañste the
vo bhī ab ḳhāl-ḳhāl hañste haiñ
us kī hāzir-javāb bātoñ se
mujh pe mere savāl hañste haiñ
dil bhī us pal bahak sā jaatā hai
jab sitamgar ke gaal hañste haiñ
mere chhup-chhup ke dekhne pe vo
apne gesū sambhāl hañste haiñ
un kā ronā bhī ḳhuub ronā hai
aur hañsnā kamāl hañste haiñ
vo mere sāmne nahīñ hañste
vaise sāhab jamāl hañste haiñ
maiñ to hargiz kabhī nahīñ hañstā
haañ mire ḳhadd-o-ḳhāl hañste haiñ
merā dil jab bhī sher buntā hai
us pe mere ḳhayāl hañste haiñ
haañ maiñ pāgal huuñ haañ maiñ dīvāna
aao Dāleñ dhamāl hañste haiñ
māñgne ke liye haiñ phaile hue
mere hāthoñ pe thaal hañste haiñ
yaar aġhyār sab barābar haiñ
sab hī de kar malāl hañste haiñ
tū 'alī' kyuuñ udaas baiThā hai
ġham ko dil se nikāl hañste haiñ
meri hasti-e-haal hanste hain
mere din mah-o-sal hanste hain
pahle har-pal jo log hanste the
wo bhi ab KHal-KHal hanste hain
us ki hazir-jawab baaton se
mujh pe mere sawal hanste hain
dil bhi us pal bahak sa jata hai
jab sitamgar ke gal hanste hain
mere chhup-chhup ke dekhne pe wo
apne gesu sambhaal hanste hain
un ka rona bhi KHub rona hai
aur hansna kamal hanste hain
wo mere samne nahin hanste
waise sahab jamal hanste hain
main to hargiz kabhi nahin hansta
han mere KHadd-o-KHal hanste hain
mera dil jab bhi sher bunta hai
us pe mere KHayal hanste hain
han main pagal hun han main diwana
aao Dalen dhamal hanste hain
mangne ke liye hain phaile hue
mere hathon pe thaal hanste hain
yar aghyar sab barabar hain
sab hi de kar malal hanste hain
tu 'ali' kyun udas baiTha hai
gham ko dil se nikal hanste hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.