meri hi taswir mein honTon par tala KHamoshi ka
merī hī tasvīr meñ hoñToñ par taalā ḳhāmoshī kā
haa.e musavvir ne khīñchā hai kyā naqsha ḳhāmoshī kā
ham donoñ kā ahd huā thā ek zabān hī boleñge
tum bolo kyā matlab samjhūñ yak-tarfa ḳhāmoshī kā
ik chup sau sukh vaalī mantiq aaj samajh meñ aa.ī hai
ab logoñ meñ aam karūñgā ye nusḳha ḳhāmoshī kā
maiñ ne apne vaqt ko sāhib do hissoñ meñ bāñTā hai
aadhā mere shor kā hai baaqī aadhā ḳhāmoshī kā
ik darvesh se le aaya huuñ de kar shor kā kaaTh kabāḌ
hijr kī lakḌī chup kī handī aur chūlhā ḳhāmoshī kā
jannat se jo saath meñ utrī vo bhī ik ḳhāmoshī thī
so aadam se jā miltā hai yuuñ shajara ḳhāmoshī kā
ab to mere hoñToñ ko bhī lafzoñ kī pahchān nahīñ
us tak jaane kab pahuñchegā ye charchā ḳhāmoshī kā
merī aaj zabāñ-bandī meñ tere log hī shāmil haiñ
mujh par aise Daal na saarā tū malba ḳhāmoshī kā
us kī merī bātoñ meñ bas do hī pahlū hote the
kuchh hotā thā shor-sharāba kuchh hissa ḳhāmoshī kā
kab tak mujh se duur rakhegā harf-o-saut kā har āhang
kab tak mere saath rahegā ye sadma ḳhāmoshī kā
terā kyā nuqsān huā hai tū jī bhar ke shor machā
mere paas to ek bachā hai vo rasta ḳhāmoshī kā
maiñ ne ḳhvāb meñ ḳhāmoshī ko shor machāte dekhā hai
'dānish' ab to denā hogā kuchh sadqa ḳhāmoshī kā
meri hi taswir mein honTon par tala KHamoshi ka
hae musawwir ne khincha hai kya naqsha KHamoshi ka
hum donon ka ahd hua tha ek zaban hi bolenge
tum bolo kya matlab samjhun yak-tarfa KHamoshi ka
ek chup sau sukh wali mantiq aaj samajh mein aai hai
ab logon mein aam karunga ye nusKHa KHamoshi ka
main ne apne waqt ko sahib do hisson mein banTa hai
aadha mere shor ka hai baqi aadha KHamoshi ka
ek darwesh se le aaya hun de kar shor ka kaTh kabaD
hijr ki lakDi chup ki handi aur chulha KHamoshi ka
jannat se jo sath mein utri wo bhi ek KHamoshi thi
so aadam se ja milta hai yun shajara KHamoshi ka
ab to mere honTon ko bhi lafzon ki pahchan nahin
us tak jaane kab pahunchega ye charcha KHamoshi ka
meri aaj zaban-bandi mein tere log hi shamil hain
mujh par aise Dal na sara tu malba KHamoshi ka
us ki meri baaton mein bas do hi pahlu hote the
kuchh hota tha shor-sharaba kuchh hissa KHamoshi ka
kab tak mujh se dur rakhega harf-o-saut ka har aahang
kab tak mere sath rahega ye sadma KHamoshi ka
tera kya nuqsan hua hai tu ji bhar ke shor macha
mere pas to ek bacha hai wo rasta KHamoshi ka
main ne KHwab mein KHamoshi ko shor machate dekha hai
'danish' ab to dena hoga kuchh sadqa KHamoshi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.