meri KHalwat se ma-siwa hai kya
merī ḳhalvat se mā-sivā hai kyā
ye ḳhalā vāqa'ī ḳhalā hai kyā
nasl-dar-nasl huuñ maiñ sargardāñ
terī pahnā.ī kā sirā hai kyā
bahr-o-bar ho rahe haiñ zer-o-zabar
āfrīnash kī intihā hai kyā
aur idhar jo ġhubār uThtā hai
phir se miTTī kā irtiqā hai kyā
vo jo siskī thī mar chukī kab kī
ab ye siine meñ gūñjtā hai kyā
qalb-e-lashkar meñ Dher huuñ maiñ idhar
maimana kyā hai maisara hai kyā
meri KHalwat se ma-siwa hai kya
ye KHala waqa'i KHala hai kya
nasl-dar-nasl hun main sargardan
teri pahnai ka sira hai kya
bahr-o-bar ho rahe hain zer-o-zabar
aafrinash ki intiha hai kya
aur idhar jo ghubar uThta hai
phir se miTTi ka irtiqa hai kya
wo jo siski thi mar chuki kab ki
ab ye sine mein gunjta hai kya
qalb-e-lashkar mein Dher hun main idhar
maimana kya hai maisara hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.