meri KHizan hai rang-e-bahaaran liye hue
meri KHizan hai rang-e-bahaaran liye hue
Qazi Syed Mushtaq Naqvi
MORE BYQazi Syed Mushtaq Naqvi
merī ḳhizāñ hai rang-e-bahārāñ liye hue
kunj-e-qafas hai aks-e-gulsitāñ liye hue
amvāj kā sukūt hai tūfāñ liye hue
har rahguzar hai hashr kā sāmāñ liye hue
jalvoñ kī kā.enāt zarā muntashir to kar
merī nazar hai diid kā armāñ liye hue
phailī huī hai mastī-e-dām-e-bahār-e-nau
har ik ravish hai kaif kā sāmāñ liye hue
tabdīl ho ke rah ga.ī tasvīr-e-kā.enāt
ab ahraman hai azmat-e-yazdāñ liye hue
taḳhlīq-e-haq ko aaj bhī jis par ġhurūr hai
vo azmat-e-buland hai insāñ liye hue
dāġhoñ kā ik chaman mire siine meñ band hai
phirtā huuñ apne saath gulistāñ liye hue
zad par hai inqalāb ke shīrāza-e-hayāt
har dāstāñ hai dard kā unvāñ liye hue
'mushtāq' vo nahīñ haiñ zamāne meñ kāmyāb
baiThe haiñ jo nasīb kā dāmāñ liye hue
meri KHizan hai rang-e-bahaaran liye hue
kunj-e-qafas hai aks-e-gulsitan liye hue
amwaj ka sukut hai tufan liye hue
har rahguzar hai hashr ka saman liye hue
jalwon ki kaenat zara muntashir to kar
meri nazar hai did ka arman liye hue
phaili hui hai masti-e-dam-e-bahaar-e-nau
har ek rawish hai kaif ka saman liye hue
tabdil ho ke rah gai taswir-e-kaenat
ab ahraman hai azmat-e-yazdan liye hue
taKHliq-e-haq ko aaj bhi jis par ghurur hai
wo azmat-e-buland hai insan liye hue
daghon ka ek chaman mere sine mein band hai
phirta hun apne sath gulistan liye hue
zad par hai inqalab ke shiraaza-e-hayat
har dastan hai dard ka unwan liye hue
'mushtaq' wo nahin hain zamane mein kaamyab
baiThe hain jo nasib ka daman liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.