meri KHubi se nikharne nahin deta mujhko
merī ḳhūbī se nikharne nahīñ detā mujh ko
jabr us kā ye ubharne nahīñ detā mujh ko
saañs lene kī ijāzat bhī nahīñ detā hai
aur jaañ se bhī guzarne nahīñ detā mujh ko
tishnagī se mirī vāqif vo nahīñ hai shāyad
chaḌhte dariyā meñ utarne nahīñ detā mujh ko
apnī qurbat se bhī mahrūm mujhe rakhtā hai
sard aaheñ bhī to bharne nahīñ detā mujh ko
reza-reza to kiyā terī anā ne lekin
merā pindār bikharne nahīñ detā mujh ko
vo mire sāmne aatā hī nahīñ saj-dhaj kar
aa.ina ban ke sañvarne nahīñ detā mujh ko
gul ke ruḳhsār pe ik pal ke liye bhī 'shabnam'
dhuup kā qahr Thaharne nahīñ detā mujh ko
meri KHubi se nikharne nahin deta mujh ko
jabr us ka ye ubharne nahin deta mujh ko
sans lene ki ijazat bhi nahin deta hai
aur jaan se bhi guzarne nahin deta mujh ko
tishnagi se meri waqif wo nahin hai shayad
chaDhte dariya mein utarne nahin deta mujh ko
apni qurbat se bhi mahrum mujhe rakhta hai
sard aahen bhi to bharne nahin deta mujh ko
reza-reza to kiya teri ana ne lekin
mera pindar bikharne nahin deta mujh ko
wo mere samne aata hi nahin saj-dhaj kar
aaina ban ke sanwarne nahin deta mujh ko
gul ke ruKHsar pe ek pal ke liye bhi 'shabnam'
dhup ka qahr Thaharne nahin deta mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.