meri lau ko ab hawaon ka sahaara chahiye
merī lau ko ab havāoñ kā sahārā chāhiye
gir na jā.ūñ terī bāhoñ kā sahārā chāhiye
go ye mushkil hai magar maiñ DhūñDh lūñgā manzileñ
is safar meñ mujh ko rāhoñ kā sahārā chāhiye
dil kī dhaḌkan zindagī aur tere ashkoñ kī chamak
in sazāoñ ko gunāhoñ kā sahārā chāhiye
ḳhvāhish-e-firdaus apne dil meñ ab tak hai ki ham
kufr kar to leñ ḳhudāoñ kā sahārā chāhiye
phir se kuchh uljhī huī hai ziist kī radd-o-badal
phir mujhe maañ kī duāoñ kā sahārā chāhiye
meri lau ko ab hawaon ka sahaara chahiye
gir na jaun teri bahon ka sahaara chahiye
go ye mushkil hai magar main DhunDh lunga manzilen
is safar mein mujh ko rahon ka sahaara chahiye
dil ki dhaDkan zindagi aur tere ashkon ki chamak
in sazaon ko gunahon ka sahaara chahiye
KHwahish-e-firdaus apne dil mein ab tak hai ki hum
kufr kar to len KHudaon ka sahaara chahiye
phir se kuchh uljhi hui hai zist ki radd-o-badal
phir mujhe man ki duaon ka sahaara chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.