meri mayus nazron ko tera didar ho jae
merī māyūs nazroñ ko tirā dīdār ho jaa.e
to ye soī huī taqdīr phir bedār ho jaa.e
qayāmat kī kashish hai tujh meñ jo bhī ik nazar dekhe
vo tujh par jaan dene ke liye tayyār ho jaa.e
tirā ġham hai matā-e-zīst ye maiñ bhī samajhtā huuñ
magar vo kyā kare jo ziist se bezār ho jaa.e
tumhāre dar pe maiñ kab se lagā.e aas baiThā huuñ
idhar bhī ik nigāh-e-lutf ai sarkār ho jaa.e
uḌāte ho hañsī 'fayyāz' tum merī mohabbat kī
mirī sūrat tumheñ bhī ishq kā āzār ho jaa.e
meri mayus nazron ko tera didar ho jae
to ye soi hui taqdir phir bedar ho jae
qayamat ki kashish hai tujh mein jo bhi ek nazar dekhe
wo tujh par jaan dene ke liye tayyar ho jae
tera gham hai mata-e-zist ye main bhi samajhta hun
magar wo kya kare jo zist se bezar ho jae
tumhaare dar pe main kab se lagae aas baiTha hun
idhar bhi ek nigah-e-lutf ai sarkar ho jae
uDate ho hansi 'fayyaz' tum meri mohabbat ki
meri surat tumhein bhi ishq ka aazar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.