meri manzil ka rasta mujhko
merī manzil kā rāstā mujh ko
ek panchhī dikhā rahā mujh ko
us nagar se kiyā judā mujh ko
koī apnā nahīñ rahā mujh ko
tere pahlū se ḳhuub bhaTkāyā
merī qismat ne jā-ba-jā mujh ko
hādisa ye bhī kuchh judā sā hai
bujhtā dīpak jalā rahā mujh ko
ek rishta tabāh kar Daalā
shak kī dīmak ne khā liyā mujh ko
ab bhañvar meñ khulā ye aakar ke
le ke Dūbegā nā-ḳhudā mujh ko
baad jaane ke aap ke miltā
hū-ba-hū koī aap sā mujh ko
haa.e pahchāntā nahīñ 'sohil'
ab to ghar kā bhī aa.ina mujh ko
meri manzil ka rasta mujh ko
ek panchhi dikha raha mujh ko
us nagar se kiya juda mujh ko
koi apna nahin raha mujh ko
tere pahlu se KHub bhaTkaya
meri qismat ne ja-ba-ja mujh ko
hadisa ye bhi kuchh juda sa hai
bujhta dipak jala raha mujh ko
ek rishta tabah kar Dala
shak ki dimak ne kha liya mujh ko
ab bhanwar mein khula ye aakar ke
le ke Dubega na-KHuda mujh ko
baad jaane ke aap ke milta
hu-ba-hu koi aap sa mujh ko
hae pahchanta nahin 'sohil'
ab to ghar ka bhi aaina mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.