meri maujon ko be-karani de
merī maujoñ ko be-karānī de
ai samundar mujhe ravānī de
mere sahrā ke regzāroñ ko
apnī ulfat kī kuchh nishānī de
peḌ jangal ke sab hare kar de
zard rangoñ ko rañg-e-fānī de
phuul mahkā de qariya-e-jāñ meñ
fasl koī to zāfrānī de
gar mohabbat nahīñ to dard sahī
dil meñ koī fazā suhānī de
itnā mujh par hañsī kā bojh na Daal
aañkh ke pattharoñ ko paanī de
merī lailā-e-shab kī zulfoñ meñ
kuchh sitāre hī kahkashānī de
kashtiyāñ moḌ sāhiloñ kī taraf
samt-e-āḳhir kī bādbānī de
āḳhirī vaqt meñ na chhoḌ mujhe
yuuñ na manzil pe bad-gumānī de
sar uThā kar jiye jo duniyā meñ
us ko ehsās-e-kāmrānī de
us se inkār kyā karūñ 'ajmal'
jo bhī detā hai mehrbānī de
meri maujon ko be-karani de
ai samundar mujhe rawani de
mere sahra ke regzaron ko
apni ulfat ki kuchh nishani de
peD jangal ke sab hare kar de
zard rangon ko rang-e-fani de
phul mahka de qariya-e-jaan mein
fasl koi to zafrani de
gar mohabbat nahin to dard sahi
dil mein koi faza suhani de
itna mujh par hansi ka bojh na Dal
aankh ke pattharon ko pani de
meri laila-e-shab ki zulfon mein
kuchh sitare hi kahkashani de
kashtiyan moD sahilon ki taraf
samt-e-aKHir ki baadbani de
aaKHiri waqt mein na chhoD mujhe
yun na manzil pe bad-gumani de
sar uTha kar jiye jo duniya mein
us ko ehsas-e-kaamrani de
us se inkar kya karun 'ajmal'
jo bhi deta hai mehrbani de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.