meri miTTi ka nasab be-sar-o-samani se
merī miTTī kā nasab be-sar-o-sāmānī se
kaam kuchh us ko havā se na talab paanī se
mere atrāf nigāhoñ kī ye dīvār na khīñch
aur āvāra huā jaatā huuñ nigarānī se
apne ā.īne se toḌ aa ke mirā ā.īna
apne ā.īne ko bhar kar mirī hairānī se
ham jo ik umr lagā dete haiñ paas aane meñ
kaise lamhoñ meñ bichhaḌ jaate haiñ āsānī se
hai yahī vaqt ki patthar se ḳhudā paidā ho
dekh ab nuur Tapakne lagā peshānī se
ishq ko hai yahī ik sūrat-e-iz.hār nasīb
jo bhī kahnā hai kahe chāk-garebānī se
shahr ho jaatā hai pahle to junūn-e-nākām
toḌtā hai phir ise sañg-e-bayābānī se
'farhat-ehsās' usī jahl se kar phir se rujūa
tere haq meñ yahī behtar hai hama-dānī se
meri miTTi ka nasab be-sar-o-samani se
kaam kuchh us ko hawa se na talab pani se
mere atraf nigahon ki ye diwar na khinch
aur aawara hua jata hun nigarani se
apne aaine se toD aa ke mera aaina
apne aaine ko bhar kar meri hairani se
hum jo ek umr laga dete hain pas aane mein
kaise lamhon mein bichhaD jate hain aasani se
hai yahi waqt ki patthar se KHuda paida ho
dekh ab nur Tapakne laga peshani se
ishq ko hai yahi ek surat-e-izhaar nasib
jo bhi kahna hai kahe chaak-garebani se
shahr ho jata hai pahle to junun-e-nakaam
toDta hai phir ise sang-e-bayabani se
'farhat-ehsas' usi jahl se kar phir se rujua
tere haq mein yahi behtar hai hama-dani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.