meri nazron mein ata ki hai teri surat mujhe
merī nazroñ meñ atā kī hai tirī sūrat mujhe
mil ga.ī hai do-jahāñ ke husn kī mūrat mujhe
tere ruḳh kī raushnī ne mujh pe vo chhiḌkā hai nuur
vasl hī ab vasl lagtī hai tirī furqat mujhe
koī aisī kaifiyat ko naam kuchh detā phire
ālam-e-ulfat ne baḳhshī hai na.ī azmat mujhe
koī kahtā hai mohabbat se hai tauhīn-e-hayāt
us ke dam se hai ināyat kis qadar izzat mujhe
muskurā kar us se aksar duur ho jaatā huuñ maiñ
tā-qayāmat DhūñDhtī rah jā.egī shohrat mujhe
meri nazron mein ata ki hai teri surat mujhe
mil gai hai do-jahan ke husn ki murat mujhe
tere ruKH ki raushni ne mujh pe wo chhiDka hai nur
wasl hi ab wasl lagti hai teri furqat mujhe
koi aisi kaifiyat ko nam kuchh deta phire
aalam-e-ulfat ne baKHshi hai nai azmat mujhe
koi kahta hai mohabbat se hai tauhin-e-hayat
us ke dam se hai inayat kis qadar izzat mujhe
muskura kar us se aksar dur ho jata hun main
ta-qayamat DhunDhti rah jaegi shohrat mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.