meri palkon pe KHwab rahne de
merī palkoñ pe ḳhvāb rahne de
kuchh na kuchh iztirāb rahne de
haq-bayānī to merā sheva hai
mujh ko zer-e-itāb rahne de
tujh ko fursat mile to paḌh lenā
mujh ko misl-e-kitāb rahne de
terī āñkheñ to ḳhud nashīlī haiñ
zikr-e-jām-o-sharāb rahne de
tishnagī jab mirā muqaddar hai
mere haq meñ sarāb rahne de
koī aaya hai saj ke gulshan meñ
aaj zikr-e-gulāb rahne de
likh de vaa.iz gunāh sab mujh par
naam apne savāb rahne de
zindagī to habāb hai 'sārim'
ab mujhe tū habāb rahne de
meri palkon pe KHwab rahne de
kuchh na kuchh iztirab rahne de
haq-bayani to mera shewa hai
mujh ko zer-e-itab rahne de
tujh ko fursat mile to paDh lena
mujh ko misl-e-kitab rahne de
teri aankhen to KHud nashili hain
zikr-e-jam-o-sharab rahne de
tishnagi jab mera muqaddar hai
mere haq mein sarab rahne de
koi aaya hai saj ke gulshan mein
aaj zikr-e-gulab rahne de
likh de waiz gunah sab mujh par
nam apne sawab rahne de
zindagi to habab hai 'sarim'
ab mujhe tu habab rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.