meri palkon pe na aae mere andar bole
merī palkoñ pe na aa.e mire andar bole
ek qatra ki jo Tapke to samundar bole
zindagī chāhe ki āvāz safar kartī rahe
maiñ na bolūñ to mirī soch kā paikar bole
apne zaḳhmoñ ko dikhā.ūñ to dikhā bhī na sakūñ
jo karam mujh pe kiye merā sitamgar bole
un kā kyā hai ki samā.at bhī hai jāgīr un kī
ham jo bole to har ik dil meñ utar kar bole
band kamroñ meñ 'hasan' sirf ishāre kab tak
bolne vaalā koī baat to khul kar bole
meri palkon pe na aae mere andar bole
ek qatra ki jo Tapke to samundar bole
zindagi chahe ki aawaz safar karti rahe
main na bolun to meri soch ka paikar bole
apne zaKHmon ko dikhaun to dikha bhi na sakun
jo karam mujh pe kiye mera sitamgar bole
un ka kya hai ki samaat bhi hai jagir un ki
hum jo bole to har ek dil mein utar kar bole
band kamron mein 'hasan' sirf ishaare kab tak
bolne wala koi baat to khul kar bole
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.