meri pursish ko adu sath na lao jao
merī pursish ko 'adū saath na laao jaao
mujh sitam-dīda pe yuuñ zulm na Dhaao jaao
koī darbār na darbān na ādāb-e-shahī
ye to ik ḳhāna-e-darvesh hai aao jaao
zindagī bhar to kabhī tum ne dilāsā na diyā
kyoñ mire marne pe ab aa.e ho jaao jaao
ai dilerān-e-jahāñ-gīr jhijakte kyoñ ho
kuchh hunar 'ishq ke maidāñ meñ dikhāo jaao
ġhumbad-e-zāt se niklo ki ḳhudāoñ ke ḳhilāf
sab haiñ fariyād-kunāñ un ko bachāo jaao
vo jo ahbāb kī haiñ nesh-zanī ke munkir
āstīnoñ ke unheñ saañp dikhāo jaao
zikr-e-jānāñ hī meñ kah do ġham-e-daurāñ 'rāhī'
rang mahfil meñ alag apnā jamāo jaao
meri pursish ko 'adu sath na lao jao
mujh sitam-dida pe yun zulm na Dhao jao
koi darbar na darban na aadab-e-shahi
ye to ek KHana-e-darwesh hai aao jao
zindagi bhar to kabhi tum ne dilasa na diya
kyon mere marne pe ab aae ho jao jao
ai dileran-e-jahan-gir jhijakte kyon ho
kuchh hunar 'ishq ke maidan mein dikhao jao
ghumbad-e-zat se niklo ki KHudaon ke KHilaf
sab hain fariyaad-kunan un ko bachao jao
wo jo ahbab ki hain nesh-zani ke munkir
aastinon ke unhen sanp dikhao jao
zikr-e-jaanan hi mein kah do gham-e-dauran 'rahi'
rang mahfil mein alag apna jamao jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.