meri qismat ka bulandi pe sitara hota
meri qismat ka bulandi pe sitara hota
Shahabuddin Shah Qannauji
MORE BYShahabuddin Shah Qannauji
merī qismat kā bulandī pe sitāra hotā
apnā kah kar jo mujhe tum ne pukārā hotā
ek duuje pe agar hotā bharosa ham ko
fāsla aaj hamārā na tumhārā hotā
qaid se apnī kabhī maiñ nahīñ bāhar aatā
naam le kar na agar mujh ko pukārā hotā
merī miTTī yuuñ hī miTTī meñ hī rahne dete
kaash tum ne na mujhe phir se sañvārā hotā
hosh aayā to vahī naam tirā lab par thā
kaash hoñToñ pe tire naam hamārā hotā
justujū terī liye phirtī na sahrā sahrā
merī bastī meñ agar terā nazāra hotā
mere aañsū dar-e-rusvā.ī pe jaate hī nahīñ
tere shāne kā agar mujh ko sahārā hotā
'shāh' sāhab na do āvāz ye sab patthar haiñ
koī hamdard jo hotā to hamārā hotā
meri qismat ka bulandi pe sitara hota
apna kah kar jo mujhe tum ne pukara hota
ek duje pe agar hota bharosa hum ko
fasla aaj hamara na tumhaara hota
qaid se apni kabhi main nahin bahar aata
nam le kar na agar mujh ko pukara hota
meri miTTi yun hi miTTi mein hi rahne dete
kash tum ne na mujhe phir se sanwara hota
hosh aaya to wahi nam tera lab par tha
kash honTon pe tere nam hamara hota
justuju teri liye phirti na sahra sahra
meri basti mein agar tera nazara hota
mere aansu dar-e-ruswai pe jate hi nahin
tere shane ka agar mujh ko sahaara hota
'shah' sahab na do aawaz ye sab patthar hain
koi hamdard jo hota to hamara hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.