meri raaton ka safar tur nahin ho sakta
merī rātoñ kā safar tuur nahīñ ho saktā
tū na chāhe to bayāñ nuur nahīñ ho saktā
maiñ ne hijrat ke ka.ī daur kaḌe dekhe haiñ
maiñ kitāboñ se kabhī duur nahīñ ho saktā
merī fitrat ki maiñ khil jaatā huuñ be-mausam bhī
merī 'ādat ki maiñ majbūr nahīñ ho saktā
tū ne kis shauq se likkhā hai ta'āruf merā
maiñ kisī lafz meñ mahsūr nahīñ ho saktā
mere andar bhī tire naam kī chingārī hai
tū mire vāste kyuuñ tuur nahīñ ho saktā
jo yahāñ lafz kī sarhad ke udhar rahtā hai
bastiyoñ meñ kabhī mash.hūr nahīñ ho saktā
zinda insāñ use ābād kiyā karte haiñ
ghar kisī ḳhvāb se ma'amūr nahīñ ho saktā
ghar ke bāhar sabhī lafzoñ ke tamāshā.ī haiñ
ghar ke andar koī masrūr nahīñ ho saktā
jism ke saare taqāze haiñ adhūre 'ahmad'
ye tasavvur kabhī bharpūr nahīñ ho saktā
meri raaton ka safar tur nahin ho sakta
tu na chahe to bayan nur nahin ho sakta
main ne hijrat ke kai daur kaDe dekhe hain
main kitabon se kabhi dur nahin ho sakta
meri fitrat ki main khil jata hun be-mausam bhi
meri 'adat ki main majbur nahin ho sakta
tu ne kis shauq se likkha hai ta'aruf mera
main kisi lafz mein mahsur nahin ho sakta
mere andar bhi tere nam ki chingari hai
tu mere waste kyun tur nahin ho sakta
jo yahan lafz ki sarhad ke udhar rahta hai
bastiyon mein kabhi mashhur nahin ho sakta
zinda insan use aabaad kiya karte hain
ghar kisi KHwab se ma'amur nahin ho sakta
ghar ke bahar sabhi lafzon ke tamashai hain
ghar ke andar koi masrur nahin ho sakta
jism ke sare taqaze hain adhure 'ahmad'
ye tasawwur kabhi bharpur nahin ho sakta
- Book : Salsal (Pg. 47)
- Author : Ahmad Shanas
- Publication : Rahbar Book Service (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.