meri raaton mein phir ek bar sitare chamke
merī rātoñ meñ phir ik baar sitāre chamke
merī āñkhoñ meñ dil-āvez nazāre chamke
phir fazāoñ meñ machaltā huā paatā huuñ shabāb
phir bujhī aag meñ do-chār sharāre chamke
phir lab-e-bām chamaktī huī āñkheñ dekhīñ
phir gunāhoñ ke havas-kār ishāre chamke
jin sitāroñ kī chamak ne mujhe taḌpāyā thā
merī taqdīr pe vo rashk ke maare chamke
phir surāhī ne irādoñ ko javānī baḳhshī
ḳhushk sāġhar ke phir ik baar kināre chamke
chāñd itnā na chamaktā kabhī dekhā saaqī
mai-kade meñ jo subū raat tumhāre chamke
jin sitāroñ kī chamak maañd paḌī thī 'maz.har'
vo sitāre mirī āñkhoñ ke sahāre chamke
meri raaton mein phir ek bar sitare chamke
meri aankhon mein dil-awez nazare chamke
phir fazaon mein machalta hua pata hun shabab
phir bujhi aag mein do-chaar sharare chamke
phir lab-e-baam chamakti hui aankhen dekhin
phir gunahon ke hawas-kar ishaare chamke
jin sitaron ki chamak ne mujhe taDpaya tha
meri taqdir pe wo rashk ke mare chamke
phir surahi ne iradon ko jawani baKHshi
KHushk saghar ke phir ek bar kinare chamke
chand itna na chamakta kabhi dekha saqi
mai-kade mein jo subu raat tumhaare chamke
jin sitaron ki chamak mand paDi thi 'mazhar'
wo sitare meri aankhon ke sahaare chamke
- Book : Khamyazah (Pg. 62)
- Author : Sayed Mazhar gilani
- Publication : Sayed Suhail wajid Fauq (1978)
- Edition : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.