meri sanso mein ru-ba-ru ho ja
merī sāñso meñ rū-ba-rū ho jā
mere jiine kī aarzū ho jā
har taraf tū hī tū dikhā.ī de
har taraf sirf tū hī tū ho jā
ek duuje ke donoñ ho jaa.eñ
maiñ tirī aur merā tū ho jā
ḳhud ko dekhūñ to tujh ko pā jā.ūñ
aa.ina ban ke chār-sū ho jā
jo abhī tak na ho sakā koī
mere mahbūb vo hī tū ho jā
jaañ se baḌh kar aziiz hai mujh ko
merī ulfat kī aabrū ho jā
ḳhushbuoñ kī tarah mahak uTTho
mere gulshan kī rang-o-bū ho jā
is se pahle maiñ ḳhatm ho jā.ūñ
ai merī zindagī shurūa ho jā
merī ḳhāmoshiyāñ pighal jaa.eñ
vo mohabbat kī guftugū ho jā
bārgāh-e-sanam meñ jaanā hai
ai 'kiran' tū bhī bā-vazū ho jā
meri sanso mein ru-ba-ru ho ja
mere jine ki aarzu ho ja
har taraf tu hi tu dikhai de
har taraf sirf tu hi tu ho ja
ek duje ke donon ho jaen
main teri aur mera tu ho ja
KHud ko dekhun to tujh ko pa jaun
aaina ban ke chaar-su ho ja
jo abhi tak na ho saka koi
mere mahbub wo hi tu ho ja
jaan se baDh kar aziz hai mujh ko
meri ulfat ki aabru ho ja
KHushbuon ki tarah mahak uTTho
mere gulshan ki rang-o-bu ho ja
is se pahle main KHatm ho jaun
ai meri zindagi shurua ho ja
meri KHamoshiyan pighal jaen
wo mohabbat ki guftugu ho ja
bargah-e-sanam mein jaana hai
ai 'kiran' tu bhi ba-wazu ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.