meri sanson mein ghuTan chhoD ke ja sakte ho
merī sāñsoñ meñ ghuTan chhoḌ ke jā sakte ho
tum mujhe 'ahd-shikan chhoḌ ke jā sakte ho
apnī yādoñ meñ magan chhoḌ ke jā sakte ho
tum hameñ tanhā sajan chhoḌ ke jā sakte ho
jūjhne kī mujhe 'ādat hai pareshānī se
mere māthe pe shikan chhoḌ ke jā sakte ho
lauTne kā kabhī apnā mujhe vā'da do to
tum judā.ī kī chubhan chhoḌ ke jā sakte ho
kyā mirī Diary ke safhoñ pe jaate jaate
daulat-e-she'r-o-suḳhan chhoḌ ke jā sakte ho
apne hoñToñ se mire hoñToñ pe kyā jān-e-jāñ
ek mīThī sī chhuvan chhoḌ ke jā sakte ho
'ishq aur farz meñ gar ek hī chunñā ho 'amit'
to adhūrā ye milan chhoḌ ke jā sakte ho
meri sanson mein ghuTan chhoD ke ja sakte ho
tum mujhe 'ahd-shikan chhoD ke ja sakte ho
apni yaadon mein magan chhoD ke ja sakte ho
tum hamein tanha sajan chhoD ke ja sakte ho
jujhne ki mujhe 'adat hai pareshani se
mere mathe pe shikan chhoD ke ja sakte ho
lauTne ka kabhi apna mujhe wa'da do to
tum judai ki chubhan chhoD ke ja sakte ho
kya meri Diary ke safhon pe jate jate
daulat-e-she'r-o-suKHan chhoD ke ja sakte ho
apne honTon se mere honTon pe kya jaan-e-jaan
ek miThi si chhuwan chhoD ke ja sakte ho
'ishq aur farz mein gar ek hi chunna ho 'amit'
to adhura ye milan chhoD ke ja sakte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.