meri shikayaten liye baiThe alag-alag
merī shikāyateñ liye baiThe alag-alag
fitne diye ga.e kahīñ fatve alag-alag
maañ baap kī buḌhāpe meñ ḳhidmat na kar sake
beToñ ne ghar banā liye apne alag-alag
ab donoñ kis ko koseñ kise bad-du’ā.eñ deñ
ghar vāloñ ne hī kar diye rishte alag-alag
panchhī bichhaḌ ke apne saroñ ko na pīTte
sayyād gar banātā na piñjre alag-alag
be-rozgār baap kī āñkhoñ meñ ek din
dekhe the maiñ ne dard ke naqshe alag-alag
'manzar' mirī ġharībī ne ye din dikhā diye
rahne lage haiñ dost bhī mujh se alag-alag
meri shikayaten liye baiThe alag-alag
fitne diye gae kahin fatwe alag-alag
man bap ki buDhape mein KHidmat na kar sake
beTon ne ghar bana liye apne alag-alag
ab donon kis ko kosen kise bad-du’aen den
ghar walon ne hi kar diye rishte alag-alag
panchhi bichhaD ke apne saron ko na piTte
sayyaad gar banata na pinjre alag-alag
be-rozgar bap ki aankhon mein ek din
dekhe the main ne dard ke naqshe alag-alag
'manzar' meri gharibi ne ye din dikha diye
rahne lage hain dost bhi mujh se alag-alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.