meri shohrat na tabiat na Thikana achchha
merī shohrat na tabī'at na Thikāna achchhā
mere baare meñ use kuchh na batānā achchhā
paar to mujh ko du'ā.eñ bhī lagā saktī haiñ
maiñ samajhtā huuñ magar tair ke jaanā achchhā
ghar to kachche the magar log bahut pakke the
ab bhī lagtā hai vahī daur purānā achchhā
'ahd-e-rafta se mirī jaan chhuḌāne vaale
dām-e-fardā meñ nahīñ mujh ko phañsānā achchhā
vahī bohtān purāne vahī ilzām qadīm
dosto tum to mujhe do koī tā'na achchhā
chhūt kī tarah udāsī mirī lag jaatī hai
tum bahut ḳhush ho kabhī paas na aanā achchhā
mere kāñdhe se ye bandūq haTā le is baar
ab lagā phir se mire yaar nishāna achchhā
kaun sā is kā asar hogā mirī hālat par
laakh ho merī balā se ye zamāna achchhā
chup rahā maiñ to ghuTan aur baḌhegī 'tāsif'
varna lagtā hai kise shor machānā achchhā
meri shohrat na tabi'at na Thikana achchha
mere bare mein use kuchh na batana achchha
par to mujh ko du'aen bhi laga sakti hain
main samajhta hun magar tair ke jaana achchha
ghar to kachche the magar log bahut pakke the
ab bhi lagta hai wahi daur purana achchha
'ahd-e-rafta se meri jaan chhuDane wale
dam-e-farda mein nahin mujh ko phansana achchha
wahi bohtan purane wahi ilzam qadim
dosto tum to mujhe do koi ta'na achchha
chhut ki tarah udasi meri lag jati hai
tum bahut KHush ho kabhi pas na aana achchha
mere kandhe se ye banduq haTa le is bar
ab laga phir se mere yar nishana achchha
kaun sa is ka asar hoga meri haalat par
lakh ho meri bala se ye zamana achchha
chup raha main to ghuTan aur baDhegi 'tasif'
warna lagta hai kise shor machana achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.