meri soch laraz uTThi hai dekh ke pyar ka ye aalam
meri soch laraz uTThi hai dekh ke pyar ka ye aalam
Arif Abdul Mateen
MORE BYArif Abdul Mateen
merī soch laraz uTThī hai dekh ke pyaar kā ye 'ālam
terī āñkhoñ se Tapkā hai aañsū ban kar merā ġham
dil ko naaz hai suljhāv par lekin maiñ ne dekhā hai
suljhāne se aur uljhā hai terī zulf kā ik ik ḳham
din ke bolte hangāme meñ aksar soyā rahtā hai
karvaT le kar jaag uThtā hai raat kī chup meñ terā ġham
hijr ke sañvlā.e lamhoñ meñ aas bhī tanhā chhoḌ ga.ī
kis se pūchhūñ kaun batā.e raat huī hai kitnī kam
terī dhun meñ tujh se bhī shāyad aage jā niklā huuñ maiñ
tere pahlū meñ baiThā huuñ phir bhī āñkheñ haiñ pur-nam
terā ġham ham dīvānoñ ko kis 'ālam meñ chhoḌ gayā
ek zamāna ham se ḳhafā hai ek jahāñ se ham barham
meri soch laraz uTThi hai dekh ke pyar ka ye 'alam
teri aankhon se Tapka hai aansu ban kar mera gham
dil ko naz hai suljhaw par lekin main ne dekha hai
suljhane se aur uljha hai teri zulf ka ek ek KHam
din ke bolte hangame mein aksar soya rahta hai
karwaT le kar jag uThta hai raat ki chup mein tera gham
hijr ke sanwlae lamhon mein aas bhi tanha chhoD gai
kis se puchhun kaun batae raat hui hai kitni kam
teri dhun mein tujh se bhi shayad aage ja nikla hun main
tere pahlu mein baiTha hun phir bhi aankhen hain pur-nam
tera gham hum diwanon ko kis 'alam mein chhoD gaya
ek zamana hum se KHafa hai ek jahan se hum barham
- Book : Noquush (Pg. B-362 E376)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.