meri taqdir rah gai soi
merī taqdīr rah ga.ī soī
iltijā kar ke baat bhī khoī
dekh kar gulsitāñ kī barbādī
ġham se shabnam bhī raat bhar roī
sard-mehrī ke is zamāne meñ
kaun kartā hai kis kī dil-jūī
al-amāñ dopahar kī ye garmī
dhuup bhī jā ke chhāñv meñ soī
bo ke kāñTe gulāb kaun chune
aage aatī hai apnī hī boī
ujle ujle vo aaj lagte haiñ
maash kī daal jis tarah dhoī
ek se ek aaj aiñThā hai
ḳhush nahīñ hai kisī se ab koī
soz-e-parvāz dekh kar 'arshad'
sham.a jal jal ke tā sahar roī
meri taqdir rah gai soi
iltija kar ke baat bhi khoi
dekh kar gulsitan ki barbaadi
gham se shabnam bhi raat bhar roi
sard-mehri ke is zamane mein
kaun karta hai kis ki dil-jui
al-aman dopahar ki ye garmi
dhup bhi ja ke chhanw mein soi
bo ke kanTe gulab kaun chune
aage aati hai apni hi boi
ujle ujle wo aaj lagte hain
mash ki dal jis tarah dhoi
ek se ek aaj ainTha hai
KHush nahin hai kisi se ab koi
soz-e-parwaz dekh kar 'arshad'
shama jal jal ke ta sahar roi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.