meri teri duriyan hain ab ibaadat ke KHilaf
merī terī dūriyāñ haiñ ab ibādat ke ḳhilāf
har taraf hai fauj-ārā.ī mohabbat ke ḳhilāf
harf-e-sarmad ḳhūn-e-dārā ke alāva shahr meñ
kaun hai jo sar uThā.e bādshāhat ke ḳhilāf
pahle jaisā hī dukhī hai aaj bhī būḌhā kabīr
koī aayat kā muḳhālif koī mūrat ke ḳhilāf
maiñ bhī chup huuñ tū bhī chup hai baat ye sach hai magar
ho rahā hai jo bhī vo to hai tabī.at ke ḳhilāf
muddatoñ ke ba.ad dekhā thā use achchhā lagā
der tak hañstā rahā vo apnī aadat ke ḳhilāf
meri teri duriyan hain ab ibaadat ke KHilaf
har taraf hai fauj-arai mohabbat ke KHilaf
harf-e-sarmad KHun-e-dara ke alawa shahr mein
kaun hai jo sar uThae baadshahat ke KHilaf
pahle jaisa hi dukhi hai aaj bhi buDha kabir
koi aayat ka muKHalif koi murat ke KHilaf
main bhi chup hun tu bhi chup hai baat ye sach hai magar
ho raha hai jo bhi wo to hai tabiat ke KHilaf
muddaton ke baad dekha tha use achchha laga
der tak hansta raha wo apni aadat ke KHilaf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.