meri tujhse kya Takkar hai
merī tujh se kyā Takkar hai
maiñ ik shai tū saudāgar hai
ḳhvābo tum āhista aanā
merī niiñd kā pul jarjar hai
ġhāfil rahne do bachchoñ ko
phir to aage Dar hī Dar hai
dukhiyāroñ kī is bastī ke
har ghar meñ ik pūjā-ghar hai
shaam meñ din tabdīl huā ab
ab har saaya qad-āvar hai
achchhe muuD meñ hai vo dil kī
kahne kā achchhā avsar hai
haath milāo ahl-e-mohabbat
nafrat kaafī tāqat-var hai
sach mat bolo us pāgal se
us ke hāthoñ meñ patthar hai
ġhībat kī is āb-o-havā meñ
'saurabh' kā rahnā dūbhar hai
meri tujh se kya Takkar hai
main ek shai tu saudagar hai
KHwabo tum aahista aana
meri nind ka pul jarjar hai
ghafil rahne do bachchon ko
phir to aage Dar hi Dar hai
dukhiyaron ki is basti ke
har ghar mein ek puja-ghar hai
sham mein din tabdil hua ab
ab har saya qad-awar hai
achchhe muD mein hai wo dil ki
kahne ka achchha awsar hai
hath milao ahl-e-mohabbat
nafrat kafi taqat-war hai
sach mat bolo us pagal se
us ke hathon mein patthar hai
ghibat ki is aab-o-hawa mein
'saurabh' ka rahna dubhar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.