meri ulfat ne kiya un pe asar mere baad
merī ulfat ne kiyā un pe asar mere baad
thāme rahte haiñ vo hāthoñ se jigar mere baad
qadr jaanī na mirī dīda-varī kī tā-zīst
apne se jhuk ga.ī aap un kī nazar mere baad
koī nāqid na rahā jauhar-e-rang-o-bū kā
chāk-dar-chāk haiñ phūloñ ke jigar mere baad
pā-e-raftār meñ tahrīk thī mere dam se
kārvāñ bhuul gayā zauq-e-safar mere baad
raunaq-e-gardish-e-ayyām thī qismat merī
uḌ gayā rang-e-ruḳh-e-shām-o-sahar mere baad
koī dīvāna sar-e-manzil-e-maqsad na rahā
ḳhizr ne tark kiyā azm-e-safar mere baad
haath aatā hai kahīñ mujh sā bhī dīvāna 'sarosh'
Thokareñ khā.egī lailā-e-hunar mere baad
meri ulfat ne kiya un pe asar mere baad
thame rahte hain wo hathon se jigar mere baad
qadr jaani na meri dida-wari ki ta-zist
apne se jhuk gai aap un ki nazar mere baad
koi naqid na raha jauhar-e-rang-o-bu ka
chaak-dar-chaak hain phulon ke jigar mere baad
pa-e-raftar mein tahrik thi mere dam se
karwan bhul gaya zauq-e-safar mere baad
raunaq-e-gardish-e-ayyam thi qismat meri
uD gaya rang-e-ruKH-e-sham-o-sahar mere baad
koi diwana sar-e-manzil-e-maqsad na raha
KHizr ne tark kiya azm-e-safar mere baad
hath aata hai kahin mujh sa bhi diwana 'sarosh'
Thokaren khaegi laila-e-hunar mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.