meri ummid se juda nikla
merī ummīd se judā niklā
maiñ ne sochā thā kyā tū kyā niklā
paak jis ko samajh rahā thā maiñ
vo burā.ī kā rāsta niklā
zikr us bevafā kā aate hī
dil se aahoñ kā silsila niklā
kis se shikva-gila kiyā jaa.e
jab muqaddar hī bevafā niklā
jis ko samjhā thā ajnabī us se
janmoñ janmoñ kā rābta niklā
ḳhush nazar aaya auroñ se lekin
ḳhud se har aadmī ḳhafā niklā
dekh be-adbiyāñ zamāne kī
mukh se 'hīrā' ḳhudā-ḳhudā niklā
meri ummid se juda nikla
main ne socha tha kya tu kya nikla
pak jis ko samajh raha tha main
wo burai ka rasta nikla
zikr us bewafa ka aate hi
dil se aahon ka silsila nikla
kis se shikwa-gila kiya jae
jab muqaddar hi bewafa nikla
jis ko samjha tha ajnabi us se
janmon janmon ka rabta nikla
KHush nazar aaya auron se lekin
KHud se har aadmi KHafa nikla
dekh be-adbiyan zamane ki
mukh se 'hira' KHuda-KHuda nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.