meri wafa na dekh tu apni ata shumar kar
meri wafa na dekh tu apni ata shumar kar
Iftikhar Ahmad Alvi Kakori
MORE BYIftikhar Ahmad Alvi Kakori
merī vafā na dekh tū apnī 'atā shumār kar
aap hī sharmsār ho yā mujhe sharmsār kar
parda-e-shab se pau phaTī sub.h ko pur-vaqār kar
qalb-o-nazar ko de jilā baḳht ko tābdār kar
sun le payām-e-sāl-e-nau aur na intizār kar
hosh-o-ḳhirad ko de sadā vaqt ko sāzgār kar
mahv-e-fuġhān-e-ārzū hosh se ham-kanār kar
naġhma-e-nau-bahār se ziist ko pur-bahār kar
ġham kī sadā jo aa ga.ī bazm-e-tarab meñ hai muḳhil
ġhairat-e-husn hai agar 'ishq se ham-kanār kar
‘aish-o-nishāt ḳhud-baḳhud qadmoñ pe sar jhukā.eñge
ātish-e-ġham ko de havā aah ko sho’la-zār kar
tujh ko agar yaqīñ hai ye munsif-o-haq-nigar hai vo
shikva-e-jaur ham-nafas shauq se baar baar kar
ḳhvāb se jaag nāsehā shams-e-'amal huā tulū’
ḳhud ko banā vafā-numā kār-e-sad-iftiḳhār kar
'alvī'-e-zār tark kar āh-o-fuġhāñ kā silsila
jis se sukūñ nasīb ho raah vo iḳhtiyār kar
meri wafa na dekh tu apni 'ata shumar kar
aap hi sharmsar ho ya mujhe sharmsar kar
parda-e-shab se pau phaTi subh ko pur-waqar kar
qalb-o-nazar ko de jila baKHt ko tabdar kar
sun le payam-e-sal-e-nau aur na intizar kar
hosh-o-KHirad ko de sada waqt ko sazgar kar
mahw-e-fughan-e-arzu hosh se ham-kanar kar
naghma-e-nau-bahaar se zist ko pur-bahaar kar
gham ki sada jo aa gai bazm-e-tarab mein hai muKHil
ghairat-e-husn hai agar 'ishq se ham-kanar kar
‘aish-o-nishat KHud-baKHud qadmon pe sar jhukaenge
aatish-e-gham ko de hawa aah ko sho’la-zar kar
tujh ko agar yaqin hai ye munsif-o-haq-nigar hai wo
shikwa-e-jaur ham-nafas shauq se bar bar kar
KHwab se jag naseha shams-e-'amal hua tulu’
KHud ko bana wafa-numa kar-e-sad-iftiKHar kar
'alwi'-e-zar tark kar aah-o-fughan ka silsila
jis se sukun nasib ho rah wo iKHtiyar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.