meri wafaen yaad karoge
merī vafā.eñ yaad karoge
ro.o.ge fariyād karoge
ham bhī hañseñge tum par ik din
tum bhī kabhī fariyād karoge
mahfil kī mahfil hai ġhamgīñ
kis kis kā dil shaad karoge
aa kar bhī nāshād kiyā thā
jā kar bhī nāshād karoge
ḳhatm huī dushnām-tarāzī
yā kuchh aur irshād karoge
mujh ko to barbād kiyā hai
aur kise barbād karoge
chhoḌo bhī 'tāsīr' kī bāteñ
kab tak us ko yaad karoge
meri wafaen yaad karoge
rooge fariyaad karoge
hum bhi hansenge tum par ek din
tum bhi kabhi fariyaad karoge
mahfil ki mahfil hai ghamgin
kis kis ka dil shad karoge
aa kar bhi nashad kiya tha
ja kar bhi nashad karoge
KHatm hui dushnam-taraazi
ya kuchh aur irshad karoge
mujh ko to barbaad kiya hai
aur kise barbaad karoge
chhoDo bhi 'tasir' ki baaten
kab tak us ko yaad karoge
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 287)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.