meri wahshat ka nazara nahin hota mujhse
merī vahshat kā nazāra nahīñ hotā mujh se
apnā honā bhī gavāra nahīñ hotā mujh se
maiñ jo ye mo.ajiza-e-ishq liye phirtā huuñ
ek jugnū bhī sitāra nahīñ hotā mujh se
gher rakhā hai mujhe chāroñ taraf se us ne
is ta.alluq se kināra nahīñ hotā mujh se
maiñ huuñ dahlīz pe rakhe hue patthar kī tarah
ab mohabbat meñ guzāra nahīñ hotā mujh se
kaam jitne bhī kiye saare adhūre hī rahe
aur ye ishq bhī saarā nahīñ hotā mujh se
kyā kahā ishq karūñ vo bhī na.e jazbe se
jī nahīñ ab ye dobāra nahīñ hotā mujh se
sirf le de ke safī' saañs bachā rakhī hai
ab koī aur ḳhasāra nahīñ hotā mujh se
meri wahshat ka nazara nahin hota mujh se
apna hona bhi gawara nahin hota mujh se
main jo ye moajiza-e-ishq liye phirta hun
ek jugnu bhi sitara nahin hota mujh se
gher rakha hai mujhe chaaron taraf se us ne
is talluq se kinara nahin hota mujh se
main hun dahliz pe rakhe hue patthar ki tarah
ab mohabbat mein guzara nahin hota mujh se
kaam jitne bhi kiye sare adhure hi rahe
aur ye ishq bhi sara nahin hota mujh se
kya kaha ishq karun wo bhi nae jazbe se
ji nahin ab ye dobara nahin hota mujh se
sirf le de ke safi' sans bacha rakhi hai
ab koi aur KHasara nahin hota mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.