meri zat mein bhi thi dilkashi tujhe yaad ho ki na yaad ho
meri zat mein bhi thi dilkashi tujhe yaad ho ki na yaad ho
Zaheer-ul-Hasan Tishna
MORE BYZaheer-ul-Hasan Tishna
merī zaat meñ bhī thī dilkashī tujhe yaad ho ki na yaad ho
kabhī maiñ hī thā tirī zindagī tujhe yaad ho ki na yaad ho
tirī zulf kī ghanī chhāñv meñ koī soyā thā jo sukūn se
vo hasīñ samāñ vo hasīñ ghaḌī tujhe yaad ho ki na yaad ho
vo agarche thī mirī dil-lagī jise tū ne sach hī samajh liyā
mujhe yaad hai tirī barhamī tujhe yaad ho ki na yaad ho
tū hī kah de tujh ko milā bhī kyā bharī bazm se jo uThā diyā
mujhe yaad ab bhī hai vo ghaḌī tujhe yaad ho ki na yaad ho
meri zat mein bhi thi dilkashi tujhe yaad ho ki na yaad ho
kabhi main hi tha teri zindagi tujhe yaad ho ki na yaad ho
teri zulf ki ghani chhanw mein koi soya tha jo sukun se
wo hasin saman wo hasin ghaDi tujhe yaad ho ki na yaad ho
wo agarche thi meri dil-lagi jise tu ne sach hi samajh liya
mujhe yaad hai teri barhami tujhe yaad ho ki na yaad ho
tu hi kah de tujh ko mila bhi kya bhari bazm se jo uTha diya
mujhe yaad ab bhi hai wo ghaDi tujhe yaad ho ki na yaad ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.