meri zara si baat ka ab tak malal hai
merī zarā sī baat kā ab tak malāl hai
mujh se kabhī to pūchh leñ kyā hāl-chāl hai
ḳhāmoshiyoñ ke khel meñ nuqsān ye huā
pahlā savāl kaun kare ye savāl hai
raushan the chāhatoñ ke diye vo bhī bujh ga.e
dil ġham-zada hai aur mohabbat nidhāl hai
jab tak rahā vo saath mujhe zindagī milī
bichhḌā hai is tarah se ki jiinā muhāl hai
matla' kahūñ yā koī mukammal ġhazal kahūñ
kuchh bhī karūñ bayān adhūrā ḳhayāl hai
hotā nahīñ hai kuchh bhī kabhī ittifāq se
jo kuchh bhī ho rahā hai ye us kā kamāl hai
meri zara si baat ka ab tak malal hai
mujh se kabhi to puchh len kya haal-chaal hai
KHamoshiyon ke khel mein nuqsan ye hua
pahla sawal kaun kare ye sawal hai
raushan the chahaton ke diye wo bhi bujh gae
dil gham-zada hai aur mohabbat nidhaal hai
jab tak raha wo sath mujhe zindagi mili
bichhDa hai is tarah se ki jina muhaal hai
matla' kahun ya koi mukammal ghazal kahun
kuchh bhi karun bayan adhura KHayal hai
hota nahin hai kuchh bhi kabhi ittifaq se
jo kuchh bhi ho raha hai ye us ka kamal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.