meri zindagi ka hai inhisar gul-o-saman ke nikhaar par
meri zindagi ka hai inhisar gul-o-saman ke nikhaar par
Raheemullah Shad
MORE BYRaheemullah Shad
merī zindagī kā hai inhisār gul-o-saman ke nikhār par
maiñ chaman meñ chāhe jahāñ rahūñ merā haq hai fasl-e-bahār par
hai junūñ bhī chāk-e-qabā bhī hai vahī qaid-o-band kī saḳhtiyāñ
hai zamāne bhar ke sitam ravā mirī ek zāt-e-figār par
mirā baaġh ḳhār-e-nigāh-e-shab mirā shahr sab kī nazar meñ hai
jo balā chalī to Thahar ga.ī isī ek ujḌe dayār par
rahī vaqf-e-ġham mirī zindagī magar ek baat kī hai ḳhushī
ki mirī hayāt kā qāfila chalā samt-e-jalva-e-yār par
mirā dil udaas hai 'shād' zāġh-o-zaġhan ke shor ke darmiyāñ
mirī aañkh chashma-e-ḳhūñ huī hai chaman kī hālat-e-zār par
meri zindagi ka hai inhisar gul-o-saman ke nikhaar par
main chaman mein chahe jahan rahun mera haq hai fasl-e-bahaar par
hai junun bhi chaak-e-qaba bhi hai wahi qaid-o-band ki saKHtiyan
hai zamane bhar ke sitam rawa meri ek zat-e-figar par
mera bagh KHar-e-nigah-e-shab mera shahr sab ki nazar mein hai
jo bala chali to Thahar gai isi ek ujDe dayar par
rahi waqf-e-gham meri zindagi magar ek baat ki hai KHushi
ki meri hayat ka qafila chala samt-e-jalwa-e-yar par
mera dil udas hai 'shad' zagh-o-zaghan ke shor ke darmiyan
meri aankh chashma-e-KHun hui hai chaman ki haalat-e-zar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.