mez par rakkhi hui duniya mein KHud ko DhunDhta tha
mez par rakkhi hui duniya mein KHud ko DhunDhta tha
Amir Hamza Saqib
MORE BYAmir Hamza Saqib
mez par rakkhī huī duniyā meñ ḳhud ko DhūñDhtā thā
'ilm ke nashshe meñ thā Thokar pe Thokar khā rahā thā
us ne ik vus'at bharī nazroñ se bosa kyā liyā thā
maiñ thā chāroñ samt mere āsmāñ thā aur ḳhudā thā
aañkh ke zindāñ meñ kaaTī maiñ ne mī'ād-e-judā.ī
us ne jab āvāz dī maiñ thak-thakā kar so chukā thā
merī āñkhoñ meñ anokhe rang-o-bū ke zā.iqe the
tere chehre kā namak bhī shahd se mīThā lagā thā
sāz-e-malkūtī safā-zādoñ ne chheḌā thā koī phir
phir pas-e-dīvār-e-girya ek mailā qahqaha thā
us ne apne āsmāñ se nuur kī ḳhairāt bāñTī
merī peshānī kā raushan chāñd varna bujh chukā thā
sab kī dastār-e-fazīlat meñ hazāroñ pech-o-ḳham the
aur hāthoñ meñ apāhij nekiyoñ kā ik 'asā thā
mez par rakkhi hui duniya mein KHud ko DhunDhta tha
'ilm ke nashshe mein tha Thokar pe Thokar kha raha tha
us ne ek wus'at bhari nazron se bosa kya liya tha
main tha chaaron samt mere aasman tha aur KHuda tha
aankh ke zindan mein kaTi main ne mi'ad-e-judai
us ne jab aawaz di main thak-thaka kar so chuka tha
meri aankhon mein anokhe rang-o-bu ke zaiqe the
tere chehre ka namak bhi shahd se miTha laga tha
saz-e-malkuti safa-zadon ne chheDa tha koi phir
phir pas-e-diwar-e-girya ek maila qahqaha tha
us ne apne aasman se nur ki KHairaat banTi
meri peshani ka raushan chand warna bujh chuka tha
sab ki dastar-e-fazilat mein hazaron pech-o-KHam the
aur hathon mein apahij nekiyon ka ek 'asa tha
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 90)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.