minaron par jaise jaise sham bikharti jati hai
mīnāroñ par jaise jaise shaam bikhartī jaatī hai
manzar aur dil donoñ meñ vīrānī bhartī hai
shahr ke bārah darvāze haiñ jaane kahāñ se aa.e vo
shahzādī ye soch ke har dar raushan kartī jaatī hai
masjid ke dālān se le kar ghuñghrū kī jhankār talak
ek galī ka.ī sadiyoñ se chup-chāp guzartī jaatī hai
raavī to ab bhī zinda hai lekin us ke siine meñ
dhaḌkan dhaḌkan bahtī ek rivāyat martī jaatī hai
zard fasīleñ Dhaltā sūraj dekh ke aisā lagtā hai
qil.e par ab dhīre dhīre raat utartī jaatī hai
minaron par jaise jaise sham bikharti jati hai
manzar aur dil donon mein virani bharti hai
shahr ke barah darwaze hain jaane kahan se aae wo
shahzadi ye soch ke har dar raushan karti jati hai
masjid ke dalan se le kar ghunghru ki jhankar talak
ek gali kai sadiyon se chup-chap guzarti jati hai
rawi to ab bhi zinda hai lekin us ke sine mein
dhaDkan dhaDkan bahti ek riwayat marti jati hai
zard fasilen Dhalta suraj dekh ke aisa lagta hai
qile par ab dhire dhire raat utarti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.