mir ki tarh jo diwana nahin ho sakta
'mīr' kī tarh jo dīvāna nahīñ ho saktā
us kā ik lafz bhī bā-mā'nā nahīñ ho saktā
zindagī tere ta'āqub meñ vahāñ aa pahuñche
lauT kar ab kabhī ghar jaanā nahīñ ho saktā
maañ sī hastī ke kaleje ko jalāne vaale
tujh se hargiz mirā yārāna nahīñ ho saktā
bevafā.ī pe nadāmat se sisakte rahiye
sau janam ronā bhī harjāna nahīñ ho saktā
jaane kis karb meñ ashkoñ se sharābī ne likhā
ḳhāna-e-bāda davā-ḳhāna nahīñ ho saktā
mujh ko qur.ān sunā 'mīr' kī ġhazleñ na sunā
koī jugnū mirā paimāna nahīñ ho saktā
kāġhazī sham' pe sāñsoñ ko luTā de 'tāhir'
itnā nādān to parvāna nahīñ ho saktā
'mir' ki tarh jo diwana nahin ho sakta
us ka ek lafz bhi ba-ma'na nahin ho sakta
zindagi tere ta'aqub mein wahan aa pahunche
lauT kar ab kabhi ghar jaana nahin ho sakta
man si hasti ke kaleje ko jalane wale
tujh se hargiz mera yarana nahin ho sakta
bewafai pe nadamat se sisakte rahiye
sau janam rona bhi harjaana nahin ho sakta
jaane kis karb mein ashkon se sharabi ne likha
KHana-e-baada dawa-KHana nahin ho sakta
mujh ko quran suna 'mir' ki ghazlen na suna
koi jugnu mera paimana nahin ho sakta
kaghazi sham' pe sanson ko luTa de 'tahir'
itna nadan to parwana nahin ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.