mil gai dard ki dawa dil ko
mil ga.ī dard kī davā dil ko
rakhe allāh mere qātil ko
ishq ne daaġh vo diyā dil ko
aa ga.ī sharm māh-e-kāmil ko
kaT chukī thī rag-e-hayāt mirī
rahm kab aaya mere qātil ko
maanā rahzan hai rāhbar merā
kyā kahūñ maiñ charāġh-e-manzil ko
kis kī kashtī lagī kināre se
zalzala aa rahā hai sāhil ko
sub.h ko par tarāshe jā.eñge
koī kar de ḳhabar anādil ko
dāġh-e-dil merā dekhne vaale
sham.a kahte haiñ māh-e-kāmil ko
maanā zālim haiñ bevafā haiñ phuul
shikva zebā nahīñ anādil ko
yūñhī dekhā nahīñ ma.āl-e-ishq
zahmateñ dī haiñ dast-e-qātil ko
maiñ chalā gard-e-kārvāñ ke saath
kah do merā salām manzil ko
maanā aajiz haiñ jaañ se parvāne
chāhiye kyā charāġh-e-mahfil ko
maut ne shaam se sulāyā mujhe
niiñd shab bhar na aa.ī qātil ko
Duub kar pā liyā sukūn-e-hayāt
pahoñche sāhil pe kho ke sāhil ko
un pe ik roz paḌ ga.ī thī nazar
umr bhar jhelnā paḌā dil ko
ġham meñ phūloñ ke bārhā 'ālī'
dekhā rote hue anādil ko
mil gai dard ki dawa dil ko
rakhe allah mere qatil ko
ishq ne dagh wo diya dil ko
aa gai sharm mah-e-kaamil ko
kaT chuki thi rag-e-hayat meri
rahm kab aaya mere qatil ko
mana rahzan hai rahbar mera
kya kahun main charagh-e-manzil ko
kis ki kashti lagi kinare se
zalzala aa raha hai sahil ko
subh ko par tarashe jaenge
koi kar de KHabar anadil ko
dagh-e-dil mera dekhne wale
shama kahte hain mah-e-kaamil ko
mana zalim hain bewafa hain phul
shikwa zeba nahin anadil ko
yunhi dekha nahin maal-e-ishq
zahmaten di hain dast-e-qatil ko
main chala gard-e-karwan ke sath
kah do mera salam manzil ko
mana aajiz hain jaan se parwane
chahiye kya charagh-e-mahfil ko
maut ne sham se sulaya mujhe
nind shab bhar na aai qatil ko
Dub kar pa liya sukun-e-hayat
pahonche sahil pe kho ke sahil ko
un pe ek roz paD gai thi nazar
umr bhar jhelna paDa dil ko
gham mein phulon ke barha 'ali'
dekha rote hue anadil ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.