mil gai dil ko rihai hijr ki zanjir se
mil ga.ī dil ko rihā.ī hijr kī zanjīr se
aa ga.e haiñ vo agarche aa.e haiñ tāḳhīr se
dekh kar hañste haiñ saare bām-o-dar rangat mirī
karne lagtī huuñ maiñ bāteñ jab tirī tasvīr se
maiñ ne sochā thā kisī par khul na pā.eñge magar
raaz mere khul ga.e haiñ sab mirī tahrīr se
kyā milā tum ko vafā se dard-e-paiham ke sivā
mudda'ā ye pūchhnā hai mujh ko mil kar hiir se
ghar milā kuchh ko kisī ko māl-o-daulat mil ga.ī
mere sar dastār aa.ī baap kī jāgīr se
ik sabaq ham ne paḌhā hai 'ishq kī tafsīr kā
'ġhālib'-o-'saudā'-o-'momin' aur 'dard'-o-'mīr' se
us se bāteñ kar ke mujh ko bārhā aisā lagā
jaise bāteñ kar rahī thī maiñ khulī shamshīr se
jis se milnā hī nahīñ thā us se milnā kyoñ likhā
bas yahī shikva mujhe hai kātib-e-taqdīr se
TūTtā ho ghar kisī kā gar tumhāre ḳhvāb se
TūTnā behtar hai aise ḳhvāb kā tā'bīr se
har koī girya-kunāñ hai dekh kar ronā mirā
har taraf hai dard mere dard kī tāsīr se
kirchiyāñ itnī huī haiñ mere ḳhvāboñ kī 'sahar'
ḳhuun ristā hai musalsal is dil-e-naḳhchīr se
mil gai dil ko rihai hijr ki zanjir se
aa gae hain wo agarche aae hain taKHir se
dekh kar hanste hain sare baam-o-dar rangat meri
karne lagti hun main baaten jab teri taswir se
main ne socha tha kisi par khul na paenge magar
raaz mere khul gae hain sab meri tahrir se
kya mila tum ko wafa se dard-e-paiham ke siwa
mudda'a ye puchhna hai mujh ko mil kar hir se
ghar mila kuchh ko kisi ko mal-o-daulat mil gai
mere sar dastar aai bap ki jagir se
ek sabaq hum ne paDha hai 'ishq ki tafsir ka
'ghaalib'-o-'sauda'-o-'momin' aur 'dard'-o-'mir' se
us se baaten kar ke mujh ko barha aisa laga
jaise baaten kar rahi thi main khuli shamshir se
jis se milna hi nahin tha us se milna kyon likha
bas yahi shikwa mujhe hai katib-e-taqdir se
TuTta ho ghar kisi ka gar tumhaare KHwab se
TuTna behtar hai aise KHwab ka ta'bir se
har koi girya-kunan hai dekh kar rona mera
har taraf hai dard mere dard ki tasir se
kirchiyan itni hui hain mere KHwabon ki 'sahar'
KHun rista hai musalsal is dil-e-naKHchir se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.