mil gai najat usko apni sargirani se
mil ga.ī najāt us ko apnī sargirānī se
munqasim huā patthar buuñd buuñd paanī se
ab kabhī na utregī kahkashāñ zamīnoñ par
ho ga.ī hai bargashta raat kī kahānī se
kis ne Thahre paanī meñ kankarī uchhālī hai
tamtamā uThā chehra ḳhuun kī ravānī se
vaqt kā taqāza hai uñgliyoñ ko chaTḳhā.eñ
ik ghuTan sī hotī hai apnī be-zabānī se
dhuup apnī qismat hai abr ban ke mat barso
jī ulajhne lagtā hai aisī mehrbānī se
mil gai najat us ko apni sargirani se
munqasim hua patthar bund bund pani se
ab kabhi na utregi kahkashan zaminon par
ho gai hai bargashta raat ki kahani se
kis ne Thahre pani mein kankari uchhaali hai
tamtama uTha chehra KHun ki rawani se
waqt ka taqaza hai ungliyon ko chaTKHaen
ek ghuTan si hoti hai apni be-zabani se
dhup apni qismat hai abr ban ke mat barso
ji ulajhne lagta hai aisi mehrbani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.