mil gaya jab wo nagin phir KHubi-e-taqdir se
mil gayā jab vo nagīñ phir ḳhūbi-e-taqdīr se
dil ko kyā kyā vahshateñ haiñ sañg kī tāsīr se
jaltā bujhtā ek jugnū kī tarah terā ḳhayāl
bas yahī nisbat hai apnī raat ko tanvīr se
phir havā ke haath par bai.at ko dil betāb hai
aañkh phir raushan huī hai gard kī tahrīr se
shab na jaane aañkh par kyā raaz ifshā kar ga.ī
ḳhvāb chaknāchūr ho kar rah ga.e ta.abīr se
ḳhud-farebī hai ki is ko āgahī kā naam duuñ
apnī qāmat nāptā hai aaj vo shamshīr se
is shikasta ghar kā girnā yuuñ lagā mujh ko 'nizām'
TuuT jaa.e ik kaḌī jaise kisī zanjīr se
mil gaya jab wo nagin phir KHubi-e-taqdir se
dil ko kya kya wahshaten hain sang ki tasir se
jalta bujhta ek jugnu ki tarah tera KHayal
bas yahi nisbat hai apni raat ko tanwir se
phir hawa ke hath par baiat ko dil betab hai
aankh phir raushan hui hai gard ki tahrir se
shab na jaane aankh par kya raaz ifsha kar gai
KHwab chaknachur ho kar rah gae tabir se
KHud-farebi hai ki is ko aagahi ka nam dun
apni qamat napta hai aaj wo shamshir se
is shikasta ghar ka girna yun laga mujh ko 'nizam'
TuT jae ek kaDi jaise kisi zanjir se
- Book : Aks e Gumgushta (Pg. 10)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.