Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mil jae aman duniya mein pal bhar nahin lagta

Tasleem Ahmad Tasavvur

mil jae aman duniya mein pal bhar nahin lagta

Tasleem Ahmad Tasavvur

MORE BYTasleem Ahmad Tasavvur

    mil jaa.e amaañ duniyā meñ pal bhar nahīñ lagtā

    jaa.eñ sukūñ dā.imī mar kar nahīñ lagtā

    paanī talab laa.ī kahāñ se ye kahāñ pe

    sahrā to lagtā hai ye sāgar nahīñ lagtā

    is kūcha-e-dilbar meñ ye kyā ḳhaak uḌī hai

    vo to nahīñ us koī ham-sar nahīñ lagtā

    ik roz na mil paa.eñ guzārā nahīñ hotā

    har roz milte haiñ ye mil kar nahīñ lagtā

    har din tarah din bhī ye kaaTe se kaTegā

    ye shab bhī guzar jā.egī aksar nahīñ lagtā

    kuchh din se ajab be-kalī ghere hai tasavvur

    kuchh din se mujhe apnā ghar ghar nahīñ lagtā

    mil jae aman duniya mein pal bhar nahin lagta

    pa jaen sukun daimi mar kar nahin lagta

    pani ki talab lai kahan se ye kahan pe

    sahra sa to lagta hai ye sagar nahin lagta

    is kucha-e-dilbar mein ye kya KHak uDi hai

    wo to nahin us ka koi ham-sar nahin lagta

    ek roz na mil paen guzara nahin hota

    har roz hi milte hain ye mil kar nahin lagta

    har din ki tarah din bhi ye kaTe se kaTega

    ye shab bhi guzar jaegi aksar nahin lagta

    kuchh din se ajab be-kali ghere hai tasawwur

    kuchh din se mujhe apna hi ghar ghar nahin lagta

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 393)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now