mil jae gham-e-jaanan jis ko kuchh usko gham-o-alam nahin
mil jaa.e ġham-e-jānāñ jis ko kuchh us ko ġham-o-ālām nahīñ
ye ġham hai vo ġham jis se baḌh kar duniyā meñ koī ārām nahīñ
ārām se ham ko kyā nisbat hai azm javāñ a.alā himmat
manzil pe pahuñch kar dam leñge yā sub.h nahīñ yā shaam nahīñ
mai-nosh to huuñ mad.hosh nahīñ ye bhī to hai pās-e-husn-e-adab
mahfil meñ hai jām-o-mīnā bhī gardish meñ magar gulfām nahīñ
ham ahl-e-junūñ kī mahfil meñ kuchh ahl-e-ḳhirad bhī haiñ lekin
vo hosh kī bāteñ karte haiñ yaañ hosh kā koī kaam nahīñ
maqdūr kā sab ko miltā hai kyoñ fikr kareñ is kī 'ḳhālid'
haañ fikr-e-abad to lāzim hai taqdīr pe ye ilzām nahīñ
mil jae gham-e-jaanan jis ko kuchh us ko gham-o-alam nahin
ye gham hai wo gham jis se baDh kar duniya mein koi aaram nahin
aaram se hum ko kya nisbat hai azm jawan aala himmat
manzil pe pahunch kar dam lenge ya subh nahin ya sham nahin
mai-nosh to hun madhosh nahin ye bhi to hai pas-e-husn-e-adab
mahfil mein hai jam-o-mina bhi gardish mein magar gulfam nahin
hum ahl-e-junun ki mahfil mein kuchh ahl-e-KHirad bhi hain lekin
wo hosh ki baaten karte hain yan hosh ka koi kaam nahin
maqdur ka sab ko milta hai kyon fikr karen is ki 'KHalid'
han fikr-e-abad to lazim hai taqdir pe ye ilzam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.