mil jae koi ghar jo tere ghar ke aas-pas
mil jae koi ghar jo tere ghar ke aas-pas
Abdul Majeed Khwaja Shaida
MORE BYAbdul Majeed Khwaja Shaida
mil jaa.e koī ghar jo tire ghar ke ās-pās
darbān kī tarah maiñ rahūñ dar ke ās-pās
chāroñ taraf hujūm ye kyoñ hairatoñ kā hai
kyā aa.ine lage haiñ tire ghar ke ās-pās
yuuñ murġh-e-dil hai ātish-e-furqat ke darmiyān
rahtī hai aag jaise samundar ke ās-pās
ham mast māñgte haiñ duā ye uThā ke haath
baiTheñ mudām shīsha-o-sāġhar ke ās-pās
zebā hai muñh jo halqa-e-zulf-e-siyah meñ ho
haalā zarūr hai mah-e-anvar ke ās-pās
'shaidā' jo un ko ghere haiñ aġhyār raat din
kāñToñ ke bhī haiñ Dher gul-e-tar ke ās-pās
mil jae koi ghar jo tere ghar ke aas-pas
darban ki tarah main rahun dar ke aas-pas
chaaron taraf hujum ye kyon hairaton ka hai
kya aaine lage hain tere ghar ke aas-pas
yun murgh-e-dil hai aatish-e-furqat ke darmiyan
rahti hai aag jaise samundar ke aas-pas
hum mast mangte hain dua ye uTha ke hath
baiThen mudam shisha-o-saghar ke aas-pas
zeba hai munh jo halqa-e-zulf-e-siyah mein ho
haala zarur hai mah-e-anwar ke aas-pas
'shaida' jo un ko ghere hain aghyar raat din
kanTon ke bhi hain Dher gul-e-tar ke aas-pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.