mil jaegi duniya mein hi jannat use kahna
mil jā.egī duniyā meñ hī jannat use kahnā
kartā rahe māñ-bāp kī ḳhidmat use kahnā
itnī sī kare ham pe 'ināyat use kahnā
laa.e na mohabbat meñ siyāsat use kahnā
vo saath rahe par hameñ 'ādat na banā.e
hotī hai burī chiiz ye 'ādat use kahnā
kuchh roz kā mehmān hai dīvāna tumhārā
ab Thiik nahīñ rahtī tabī'at use kahnā
jo faisla karnā hai vo ham ghar meñ kareñge
jaa.e na mirā bhaa.ī 'adālat use kahnā
dushvār hai milnā to koī baat nahīñ hai
lekin vo hameñ likhtā rahe ḳhat use kahnā
kahnā ki use aaj bhī ham yaad kare haiñ
hai ab bhī hameñ us se mohabbat use kahnā
bas pyaar se ik baar mirā naam pukāre
jab bhī ho use merī zarūrat use kahnā
le jā.egā hamrāh meñ ā'māl vo apne
rah jā.egī duniyā meñ hī daulat use kahnā
mil jaegi duniya mein hi jannat use kahna
karta rahe man-bap ki KHidmat use kahna
itni si kare hum pe 'inayat use kahna
lae na mohabbat mein siyasat use kahna
wo sath rahe par hamein 'adat na banae
hoti hai buri chiz ye 'adat use kahna
kuchh roz ka mehman hai diwana tumhaara
ab Thik nahin rahti tabi'at use kahna
jo faisla karna hai wo hum ghar mein karenge
jae na mera bhai 'adalat use kahna
dushwar hai milna to koi baat nahin hai
lekin wo hamein likhta rahe KHat use kahna
kahna ki use aaj bhi hum yaad kare hain
hai ab bhi hamein us se mohabbat use kahna
bas pyar se ek bar mera nam pukare
jab bhi ho use meri zarurat use kahna
le jaega hamrah mein aa'mal wo apne
rah jaegi duniya mein hi daulat use kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.