mil kar har ek shaKHs se dil itna bhar gaya
mil kar har ek shaḳhs se dil itnā bhar gayā
ab apnā hī vajūd nazar se utar gayā
kyā jaane kyoñ ye hotā hai mahsūs in dinoñ
maiñ jī rahā huuñ mujh meñ koī thā jo mar gayā
pahlā sā vo ḳharosh samundar meñ ab kahāñ
sailāb ḳhatm ho gayā tūfāñ guzar gayā
mausam ne jab bhī chupke se kuchh gul khilā.e haiñ
ilzām shoḳh tez havāoñ ke sar gayā
paanī kī tarah bah ga.iiñ sadiyāñ kabhī kabhī
aksar huā hai yuuñ bhī ki lamha Thahar gayā
muddat ke baa'd ā.īna kal sāmne paḌā
dekhī jo apnī shakl to chehra utar gayā
mil kar har ek shaKHs se dil itna bhar gaya
ab apna hi wajud nazar se utar gaya
kya jaane kyon ye hota hai mahsus in dinon
main ji raha hun mujh mein koi tha jo mar gaya
pahla sa wo KHarosh samundar mein ab kahan
sailab KHatm ho gaya tufan guzar gaya
mausam ne jab bhi chupke se kuchh gul khilae hain
ilzam shoKH tez hawaon ke sar gaya
pani ki tarah bah gain sadiyan kabhi kabhi
aksar hua hai yun bhi ki lamha Thahar gaya
muddat ke ba'd aaina kal samne paDa
dekhi jo apni shakl to chehra utar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.