mil ke baiThen to hum kahin pahle
mil ke baiTheñ to ham kahīñ pahle
baañT lete haiñ kyuuñ zamīñ pahle
hogā terā bhī e'tibār mujhe
kar luuñ apnā maiñ gir yaqīñ pahle
kyuuñ kisī dar pe āsmāñ jhuktā
gar na jhuktī mirī jabīñ pahle
dil meñ shāyad abhī bhī hai maujūd
aao DhūñDeñ use yahīñ pahle
kab ye sunte haiñ dāstāñ puurī
bol uThte haiñ nukta-chīñ pahle
sochtā huuñ maiñ sun ke baat tirī
kyuuñ ye maiñ ne kahī nahīñ pahle
mil ke baiThen to hum kahin pahle
banT lete hain kyun zamin pahle
hoga tera bhi e'tibar mujhe
kar lun apna main gir yaqin pahle
kyun kisi dar pe aasman jhukta
gar na jhukti meri jabin pahle
dil mein shayad abhi bhi hai maujud
aao DhunDen use yahin pahle
kab ye sunte hain dastan puri
bol uThte hain nukta-chin pahle
sochta hun main sun ke baat teri
kyun ye main ne kahi nahin pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.