mil ke bhi sab se alag chehron ke is sailab mein
mil ke bhī sab se alag chehroñ ke is sailāb meñ
tel kā qatra hai goyā ik bhare tālāb meñ
maiñ jo aayā guftugū ḳhāmosh ḳhiffat ban ga.ī
zikr merā hī thā shāyad mahfil-e-ahbāb maiñ
sāhil-e-lab tak sadā-e-al-madad kā shor hai
ek kashtī phañs ga.ī hai ḳhuun ke girdāb meñ
dasht se dāman bachā laatā agar ye jāntā
bārish-e-gul bhī hai shāmil shahr ke ādāb maiñ
do ghaḌī kī niiñd apne vāste mumkin nahīñ
kis ke kis ke ḳhvāb aa milte haiñ apne ḳhvāb meñ
yuuñ ulaTtā jaatā huuñ maiñ ziist ke safhe 'zahīr'
fahm-o-dānish gum hai lekin avvalīñ abvāb meñ
mil ke bhi sab se alag chehron ke is sailab mein
tel ka qatra hai goya ek bhare talab mein
main jo aaya guftugu KHamosh KHiffat ban gai
zikr mera hi tha shayad mahfil-e-ahbab main
sahil-e-lab tak sada-e-al-madad ka shor hai
ek kashti phans gai hai KHun ke girdab mein
dasht se daman bacha lata agar ye jaanta
barish-e-gul bhi hai shamil shahr ke aadab main
do ghaDi ki nind apne waste mumkin nahin
kis ke kis ke KHwab aa milte hain apne KHwab mein
yun ulaTta jata hun main zist ke safhe 'zahir'
fahm-o-danish gum hai lekin awwalin abwab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.