mil sakegi ab bhi dad-e-abla-pai to kya
mil sakegī ab bhī dād-e-ābla-pā.ī to kyā
fāsle kam ho ga.e manzil qarīb aa.ī to kyā
hai vahī jabr-e-asīrī aur vahī ġham kā qafas
dil pe ban aa.ī to kyā ye ruuh ghabrā.ī to kyā
apnī be-tābī-e-dil kā ḳhud tamāshā ban ga.e
aap kī mahfil ke bante ham tamāshā.ī to kyā
baat to jab hai ki saarā gulsitāñ hañsne lage
fasl-e-gul meñ chand phūloñ kī hañsī aa.ī to kyā
laao in be-kaifiyoñ hī se nikāleñ rāh-e-kaif
vaqt ab legā koī pur-kaif añgḌā.ī to kyā
kam-nigāhī ne use kuchh aur gahrā kar diyā
vo chhupāte hī raheñ rañg-e-shanāsā.ī to kyā
phir zarā sī der meñ chauñkā.egā ḳhvāb-e-sahar
āḳhir-e-shab jāgne ke ba.ad niiñd aa.ī to kyā
beḌiyāñ vahm-e-ta.alluq kī na.ī pahnā ga.e
dost aa kar kāTte zanjīr tanhā.ī to kyā
shorish-e-afkār se 'e'jāz' dāmānda sahī
chhin sakegī phir bhī fikr-o-fan kī rā'nā.ī to kyā
mil sakegi ab bhi dad-e-abla-pai to kya
fasle kam ho gae manzil qarib aai to kya
hai wahi jabr-e-asiri aur wahi gham ka qafas
dil pe ban aai to kya ye ruh ghabrai to kya
apni be-tabi-e-dil ka KHud tamasha ban gae
aap ki mahfil ke bante hum tamashai to kya
baat to jab hai ki sara gulsitan hansne lage
fasl-e-gul mein chand phulon ki hansi aai to kya
lao in be-kaifiyon hi se nikalen rah-e-kaif
waqt ab lega koi pur-kaif angDai to kya
kam-nigahi ne use kuchh aur gahra kar diya
wo chhupate hi rahen rang-e-shanasai to kya
phir zara si der mein chaunkaega KHwab-e-sahar
aaKHir-e-shab jagne ke baad nind aai to kya
beDiyan wahm-e-talluq ki nai pahna gae
dost aa kar kaTte zanjir tanhai to kya
shorish-e-afkar se 'e'jaz' damanda sahi
chhin sakegi phir bhi fikr-o-fan ki ra'nai to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.